Friday, September 1, 2017

Gar raat na hoti!



Gar raat na hoti, Tanhaai na hoti....
Guzare palon ki....parchchayee naa hotee....

Yeh Sannaata na hota, Na rusvayi hoti....
Na koi shikaayat, na sunvaai hoti....

Na adhoore khwab hote, na koi iraade....
Na kisi ka intezaar, na sabr....

Shukr hai....
Shukr hai ki zindagi ke kayi raaz,
Isi raat mein dafan ho jaate hain !

Shukr hai....
Shukr hai ki phir nayee ummeed koi...
Isi raat mein jaag jati hai!

Shukr hai....
Shukr hai....ki inhe sajaate sajaate,
Subah ho hi jaati hai!

Gar raat na hoti,
Na kal khatm hota....aur na kal shuru....
Gar raat na hoti,
Na hum khatm hote....
Aur na shuru!

0 comments: